Kabhi kabhi dil chahta hai ki bus is duniya me itni gumnam ho jau ki kisi se koi vasta ya ummid ki gunjaish hi na mehsus ho. Zindagi itni azab jaisi us waqt sbse xyda lgne lgti hai jab aap apne liye hue faisle par afsos karte hai. Jab jab kisi se koi ummid koi rishta kayam karne ki koshish ki tb tb wo ummid wo rishta mahaj sirf wqti bate jaisi nazar aati hai. Sirf wqt ka akelapan dur krne ke liye log is had tak acchi bate krte ki aap duniya ki buraiyon ko bhul jate hai or sirf uski har bato per yakin karna shuru kr dete hai...kisi ko koi parwah nahi hoti ki aap kis haal me hai, kis chiz se guzar rahe hai kisi ko koi fark nhi pdta hai. Log apne hi masael me itna mashgul hai ki dusre masael nazar hi nahi aate hai....bahut waqt lgta hai insan ko kisi jazbat se kisi ehsas se nikalne me mgr jab wahi ehsas wahi jazbat apka bar bar dum ghotne lge to usse behtr hai aise jazbato or ehsaso ka marjana hi behtar hai....or fir in ehsaso or jazbato se chhutkara pane ke liye insan ek nahi kai gunah me mashgul hojata hai. Or is gunaho ka bhoj liye insan jab thak jata hai to use thode se sukoon ki talash hoti hai or fir wo sukoon use kahi se milti hui nazar aati hai to wo waha ruk jata hai ye sochkar ki ab jo hai bus yhi hai. Lekin zindgi itni kaha hai hm jis sukoon ke liye thahr jate hai asal me wo sukoon bhi bus wqti hai zyada der tak Naseeb nahi hoti hai...or fir ek naya chapter shuru hone lgta hai bilkul recycle ki trh.
mujhe samjh nahi ata ki parents aksar ladkiyo ke liye itna pareshan kyu rahte hai specially tab jb wo us age me ati hai ki use duniya samjhni shuru hi ki hoti hai, jaha use duniya dekhne ki umar hoti hai, azad hoker fizao me chillane ka mann karta waha use rishton me bandhne ki baat kyu krne lgte hai. Ldkiyo ko shadi ke liye aise taiyar kiya jata hai jaise ki sb kuch shadi hi ho. Rishte ke liye photos to aise aise dikhaye jate hai jaise ki uske liye ladke nhi bus murgi halal karne ke liye ek kasai chahiye. Fir agar koi ladki ldke ko reject krti hai to uspe ungliyan uthani shuru ho jati hai, use ye ehsas dilaya jata hai ki sb kuch life me perfect nahi milta kuch na kuch to sacrifice karna hi padta hai. Mujhe samjh nhi aata why always girls sacrifice her dream her opinion her way of styles. Ye sare sacrifices ke tabu ladko pe kyu nahi lagte unhen kyu nahi sikhaya ya btaya jata hai ki sacrifice wo bhi kr skte hai. I know har koi perfect nhi hota hame perfect banana pdta hai bt my question...
Comments